Sunday 4 December 2011

Hum Kon hain...?

Novermber ki political activity ka ek faidaa howa hai aur woh yeh k kuchh parties ne IT professional ko job mil gai hai aur woh facebook par posts kartay rehtay hain. kahan kisi political leader k paas itna time hai jo facebook ko use karay. har taraf majority "Rental IT Professionals" hain. kaash humaray leader thoray se sanjeeda hotay, hum bhi kehtay k jo kuchh hum log kehtay hain us tarhaa kia jaata hai. yeh jitni bhi facebook par political activities hain yeh koi leaders monitor nahi kar raha.

4 saal Khawab-e-haflat main parhay rehnay k baad jab sab ko pata hai k next year election hon e tu sab Parties ne jis tarhaan "Melay" k dino main stall lagtay hain wessay he kaam shuru kar diya hai. kuchh log stalls k bagher he kaam chalaain ge.

hum bahasiyat qom kia hain kabhi PML-N, PPP, PML-Q, Musharraf, in se pehlay aur kitnay, ab ek aur stall lag giya hai jo puranay bartan polish kar k aur un ki sahee value laga k " asli asaasay" ka new naaraa dhoond laai hain. aur hum sab "tabdeeli" ki is lehr main ek baar phir awam ko daboyaa ja raha hai. mere buht se dost mujh se sakht khafa hain par khubsurati un ki yeh k woh apnay piyar ki waja se shikayat bhi nahi kartay. bhala jis stall par puranay bartan ko polish kar k tabdeeli ka jhansaa diya jaa raha hai kia hum un bartan main "taza khana" paka saktay hain?

main ne TV channels pe 1999 main musharraf ka istaqbaal sarkon par dekha hai, shehr k har taraf ek hangama barpaa tha. sahb ki pehli taqreer main 7-points Agenda aya lekin us k saath he purani team bhi. aaj kisi ko woh 7-point agenda yaad nahi hoga. agar main ghalat na hon tu shayd pichlay 200 saalon main shayd he kisi mulk ka agher azab hadsaat yaan jang k itna nuqsaan howa ho jitna Pakistan ko 10 saalon main howa hai lekin phir bhi chamak raha hai, pata nahi ku.

4 saal ki dheron "Breaking News" ne samjhaya hai k "kuchh na kuchh" tu hai warnaa CNN BBC k ilawa kai aur channels par shayd "Breaking News" ka koi kaam he nahi hai. ab jo honay wala hai yeh shayd pehlay ki tmaam " Breaking News" ko bilkul "Break" kar de aur hum phir ek baar "tabdeeli" k liye duaain karain.

baat tu kafi lambi hai par thori c bhi samajh aa jaai tu soch kar apni qismat ka faisla karna. meri ALLAH se duaa hai k mere watan ko slamat rakhna aur qom ko jaga dena sahee time pe.taa k sahee sawari par apnay nai safar par niklain aur muqaam par pohnchain kahin ghalat rastay ki sawari par mat beth jaain aur phir kahin naa mukammal muqaam se pedal chalna parhay